Thursday, June 01, 2006

Ek-Anek

something from the good ole days of doordarshan's monopoly
-------------

Didi ye anek kya hota hai ?
Anek.... anek yani bahut saare....
jaise...
suraj ek...
chanda ek.....
taare anek....

achcha to taroN ko anek bhi kehte hain ?????
nahi nahi !!

dekho phir se batati hooN
suraj ek...
chanda ek.....
taare anek....

ek gilhari, ....
ek aur gilhari......
ek ek ek karke ho gayee ab anek gilhariyaaN...
ek titali, anek titaliyaaN....
ek chidiya.. ek ek anek chidiyaaN......
anek chidiyoN ki kahani sunoge ....
haan sunao...

ek chidiya anek chidiya....
dana chugne baith gayee thi .....
chorus : didi humen bhi sunao.......

phir se suno...
ek chidiya, anek chidiyaN
dana chugne baith gayee thi .....

WahiN ek byaadh ne jaal bichhaya tha...
byaadh, byaadh kya hota hai didi ?
byaadh ... chidiya pakadne wala

to phir kya hua, usne chidiyoN ko pakad liya,...
unhe maar diya ......
un..huh...

Himmat se jo jute rahe to bada kaam bhi hove
bhaiya.. bada kaam bhi
hove bhaiya ...
1..2..3.. furrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrr

Chaturrr cidiyaaN sayaani chidiyaaN,
miljul kar, jaal le kar...
Bhaagi chidiyaaN....
furrrrrrrrrrrrrrrrrr

door ek gaaon mein chidiyon ke dost chuhe rahte
the....
unhone unka jaal kaat diya.........

dekha ekta mein kitni shakti hai......
didi agar hum ek ho jaayen to kya koi bhi kaam kar
sakte hain ?
haan haan kyon nahi ...
to kya is ped ke aam bhi tod sakte hain ???
haan magar jugat lagani hogi ...
JUGAT ???

*
* *
* * *
* * * *

achchha ye jugat .... wah bada mazaa aayega....
HO GAYE EK ...
BAN GAYEE TAKAT..
BAN GAYEE HIMMAT...
hind desh ke niwasi sabhi jana ek hain, -2
rang-roop vesh-bhaasha chahe anek hain -2

---- repeat...
bela gulab juhi champa chameli..... -2
phool hain anek kintu mala phir ek hai ...-2
ek-anek-ek anek

suraj ek, chanda ek, taare anek,
ek gilhari , anek gilhariyaaN,
ek titli, anek titaliyaaN,
ek chidiyaa , anek chidiyaaN......
are bela gulab juhi champa chameli.. -2
phool hain anek kintu mala phir ek hain.....2

Labels: ,

2 Comments:

Blogger Anuradha said...

absolutely nostalgic...

6/02/2006 03:23:00 PM  
Anonymous Anonymous said...

really cool.

-himg

6/20/2006 01:26:00 PM  

Post a Comment

Links to this post:

Create a Link

<< Home